Professional blogger ban-ne se pahle ye 10 baate jarur jaan le

Ager aap tay kar chuke ha ki aap professional blogger ban kar rahenge to ye post pahle pade. Ye aapko professional blogger banne me madad karega. 

Ek professional blogger ke pass har wo cheez ki jankari hona chahiye jiski madad se wo apna kaam aasni se kar sake aur jyada se jyada paise kama sake. 


1. Typing- Ye sabse important kaam ha typing. Ager aapko typing ki knowledge nahe hai to pahle aap isko shik le kuki blogging me bahut jyada likhna hota ha. ager aap soch rahe hai ki 2-3 finger se typing ka kaam chal jayega to aap galat soch rahe ha. Pahle aap typing seekhiye uske baad blogging me apna career suru kare. Typing master naam ka software bahut hi accha hai typing sikhne ke liye. Aap ise apne computer par install kare aur daily iski practice kare. Aap ek hi mahine me acche se typing karna seekh jayenge. 

2. Blog banana- Ye dusra important kaam hota ha. Jab aap professional blogging ki duniya mein kadam rakhenge to sabse pahle aapko ek blog ki jarural padegi. Blog banana bahut hi aasan hai. Aap ise internet par seekh sakte hai ya kisi web-developer se aap apna blog banwa sakte ha. Mera sujhav ye rahega ki aap khud blog banana shikh le kukui future me aapke blog me kai prakar ke dikkat aa sakti hai jise aap baar baar web developers ke pass jane ki jarurat nahi padegi.

3. SEO- SEO ki jankari bahut he important hai. Bina SEO ke aapka blog internet par nahe khoja ja sakta ha. Isly blog likhne se pahle aap SEO ke baare me search kar le aur samaj le. ye bahut he aasan hai. Maine SEO ke baare me bhi likha hai ise jarur pade. 

4.Web-hosting- Apna blog banate samay is baat ka khayal rakha jaye ki aapka blog kisi acche company par host kiya ja raha. Saste aur naye web-hosting company par blog ko host nahe karna chahiye, kuki aap professional blogging ki shuruaatat karne wale ha aur aap nahe chahunga ki aapke blog ko  future me kisi prakar ka problem aaye.

5.Wordpress- 90% blogs wordpress par bane hote hai. Wordpress ek blogging platform ha jis par blogs aur website banaye jate ha. App professional blogging ki suruat wordpress par he karenge islye iski shuruat me iski thodi bahut jankari iske official website par le sakte ha.

6.Graphics-Professional blogging me graphics design ki jankari hona bahut hi zaruri ha. Blog likhne ke baad usko internet pur post karne ke liye thodi creativity ki zarurat hoti hai. Isliye blogger apne harek post me kam se kam ek photo zarur dalte ha. Photo ko dalne se pahle usko edit karna zaruri hota hai aur photo ka size bhi kam karna hota ha. Ye sari jankari professional blogger ke paas hona jaruri hai.

7.Adsense- Google ka Adsense program blogger ko paise kamane me madad karta ha. Adsense blogger ke blog par Advertisement karti ha aur iske liye blogger ko paise deti hai. Adsense program ke blogger ko iske liye apply karna padta ha. Jab Google aapke blog ka review karne ke baad tay karti ha ki aapke blog par Advertisement dena sahi hai ya nahi. Isliye professional blogger banana se pahle aap Adsense ki policies ki jankari acchi tarah se samaj le aur usi anusaar hi apna blogging career suru kare.

8. Copyright- Ye bahut he important thing ha. Copyright ek legal Act hain jiske ander aap kisi dusre ke blog ko copy karke apne blog par post nahe kar sakte ha. Yani ki jo kuch bhi likhna hai aap apna khud ka likhe. Ager aap copyright ke rules ko thodte hai to aapke upper legal case bhi ho sakta ha. Isliye copyrights ki jankari bhi rakhna jaruri ha.

9. Promotion- Blog likhne ke baad aapke blog ko popular banana ke liye promotion ki jarut hogi. Iske liye bahut saare marketing tools hote ha. Aapke paas blog ko promote karne ke saare tools ki jankari lena bhi bahut jarurat hai. 

10. Email- Professional blogger banne ke baad aapke paas bahut saare emails aane shuru ho jate ha. Log aapke bare me jyada se jyada jankari lena chahte hai. Isliye aapko ek professional tarike se email ko send karne ka tarika bhi aana chahiye. 

Agar aap is 10 baato ka khayal rakhte ha to aap nishchay he ek safal professional blogger ban sakte ha. Dosto koi bhi kaam karne se pahle planning ki jarurat hoti hai. Agar aapke paas accha plan hai to aapka kaam bhi acha hoga.

Post a Comment

0 Comments