Visesh Infotech ke price achanak se niche kyu girne laga hai

 Visesh Infotech share ke price 2 din se lagatar niche gir rahe hai, kya Visesh Infotech shares NSE me lower circuit lag gaya hai !

Visesh Infotech shares jo ki pichle ek saal me 3000% return diya hai isme achanak se aisa kya ho gaya ki share price lagatar dusre din bhi gir chuka hai. Yah multibagger stocks ke list me samil ho chuka hai ya nahi iska to pata nahi lekin Visesh Infotech shares ka price 0.10 paisa tha jo ki current NSE me 1.55 ka price hai. Sabse badi baat to iske NSE aur BSE ke price me bahut jyada different hai. 


Visesh Infotech shares NSE ka graph 

Nse me Visesh Infotech shares ke price pichle 2 din se gir rahe hai iska ek main reason yah bhi ho sakta hai ki 2 bade investor ne ek bahut he bada amount market me short kar diya hai. Stock edge ke data ke anusar Vishal biinkumar Doshi ne 19153633 shares aur Spring Ventures ne 33000000 Shares ko 1.65 ke rate par 1 Feb 2022 ko market me sell off kar diya hai. Ab itni badi volume me sell-off hoga to share ke price niche to jana he tha.  Buyers na hone ke karan small retail investor fas chuke hai lekin ek good news ye hai ki Visesh Infotech shares BSE ke shares demand me aur share price daily increase ho raha hai. 


Visesh Infotech shares BSE ka graph 

Visesh Infotech shares ke BSE me iska chart dekhe to iska price lagatar upar ja rha hai. Sayad iska bhi haal NSE jaisa hone wala hai 1.65 ke baad ye fir niche na aane lage. 



Post a Comment

0 Comments