Khiladi movie Ravi Teja ki ek movie hai jo Telugu aur Hindi me release ki gaye hai. Khiladi movie ko review karne se pahle ye bata du ki Akshay Kumar ki Khiladi movie ka remake bilkul bhi nahi hai. Khiladi movie ek criminal ki story hai jise paise se bahut pyar hota hai. Ravi Teja Khiladi movie ke lead actor hai aur Dimple Hayathi is movie ki lead actress hai. Khiladi movie ek full masala action movie hai jisme apko bike race, car chasing, fight sence dekhne ko mil sakta hai. Action kafi accha hai lekin climex ke sence me jo combat fight hai wo south ka typical action dekhne ko milega jo ki Bollywood ke fight sence se bilkul alag hai. South ki movie me south ka action dekhne ko na mile to south movie bekar lagti hai na isliye sayad fight director ne jaan bhuj kar aisa fight sence dala hoga. Khiladi movie ki story ka main hero 10000 crore rupyae hai, ji ha dosto jaisa ki apne trailer me dekha he hoga ki story 10000 crore rupye ko lekar hero aur villan me fight hoti rahti hai. Khiladi movie ki story is tarah sa hai ki ek politian CM banane ke liye 10000 crore ka deal karta hai MLA ko kharidne ke liye.
Movie ke andar ek villan nahi balki kai villan hai kyuki 10000 crore har koi hasil karna chahta hai. Movie ka villan paise ko chupane ke liye ek company ke ceo ke pass jata hai aur use is money ko police aur cbi se chupa kar rakhne ke liye bolta hai magar cbi ki pata chal jata hai ki 10000 crore ki deal hone wali hai aur us company ke ceo ko arrest kar leta hai. Police us CEO se paiso ke baare me puchti hai lekin wo kuch bhi nahi batata hai. Khiladi movie me jab Tavi Teja ko is baat ka pata chalta hai ki 10000 crore ki deal hone wali hoti hai to is paise ko lene ke liye plan banata hai aur ye plan aisa hota hai ki wo pahle apne aap ko police se arrest karwata hai fir apne aap ko bahar nikalne ka bhi plan banata hai.
0 Comments