Adsense approve kaise kare jaisa ki maine kiya

Adsense approve kaise kare bina koi tension ke. Dosto haal he me maine apna Google Adsense approve karaya hai, janiye kaise.

Aap Logo ke jaise he maine bhi Google Adsense ki liye jald he apply kar diya tha jise google ne reject kar diya tha.  Reject karna jaruri bhi tha kukuki us samay muje Adsense ki policies ke baare me kuch pata hi nahe nahi tha.



Pehli baar maine Adsense ke apply 2014 me kiya tha jab maine blog se paisa kamane ka thaan hi liya tha. Maine blogspot par ek blog banaya us par kuch koi bhi article likha tha aur bahut saare photos dal diye the. Is blog par kuch khas nahi tha bas mujh art ka shauk tha to design wagera post karte rahta tha. 

Blog banane ke baad mai blog se paise kaise kamaye jay iske baare me main internet par search karte rahta tha. Fir ek din muje affiliate marketing ke baare me pata chala aur usi din decide kar liye ki muje affiliate marketing ke jariye he online paisa earn karna hai. Iske baad muje Amazon ke affiliate program ke baare me pata chala to maine iske liye apply kar diya. Amazon ne jald he mere blog ko approve kar diya affiliate program ke liye.Kuch din baad muje laga ki agar Amazon approve kar sakta hai to Google Adsense kyun nahi approve karega. Maine Adsense ke liye apply kiya aur jaldi he mujhe rejection email mil gaya. Khair maine haar nahi mana aur blogging jari rakha. 

Kuch din ke baad muje coupon website ka idea aaya aur maine is par kaam karna suru kar diya. Kuch din baad coupon website ban kar taiyar tha. Maine ye website ko wordpress par banaya hai. Website banane ke baad maine is par 200 se bhi jayad post dale.


Website banane ke baad maine ye kaam kara suru kar diya-


Sitemap-  Website banane ke baad apna website ka sitemap Google ko webmaster ke jariye submit kiya.

SEO- Maine website ke harek post ko SEO friendly banaya. SEO ko behtar samajhne ke liye Google Webmaster ko har din monitoring karta gaya jis se mere site par aane wale keyword ko track kar paya aur usi keyword par jayada se jyada post dalta gaya.

Social media marketing- Apne website ka Google plus, Facebook aur twitter par  fan page bana kar social media marketing karne laga. Jis se mere website ke traffice me bahut jayada visiter aane lage.

Update-Apne website ko lagbhag har din update karta gaya aur roj roj naye post bhi likhta gaya. Jiske karan mera website ka ranking kafi uper aa gaya.

Kuch mahine baad jab mere website par harek months 1500-2000 visitor aane lage to muje laga ki ab Adsense ke liye apply karna sahi hoga. Fir kya tha maine Adsense ke liye apply kar diya aur 24 ghante ke bhitar he Google Adsense approve ho gaya.

To dosto aap bhi apna apne blog ya website ka Adsense account approve kara sakte hai. 

Bas aap apne  blog ko sahi tarah se develop kare aur thoda time le taki aap apne website ko acchi tarah se taiyar kar le. Dosto agar main kar sakta hu to aap bhi kar sakte hai. 

Post a Comment

0 Comments