Dosto kya aap jante hai Infolinks kya hai aur isse kaise paise kamaye jate hai. Infolinks ek advertisement company hai jo Adsense ki tarah. Ager apna blog run kar rahe hai to us par Infolinks ke ad dalkar Google Adsense ki tarah paise kama sakte hai.
Infolinks ke baare me kuch khas baatein
Infolinks 2007 se bloggers ko paisa kamane me madad karta aaya hai.Pure duniya ke 128 desho ke 150,000 se bhi jyada blogs aur websites infolinks ke jariye revenue kama rahe hai. Infolinks ke sath Facebook jaise top websites ki Advertisement hai.
Infolinks kaise kaam karta hai
Infolinks par ad display karne ka concept bh Adsense ke jaisa he hai. Infolinks aapke blog ke post ke related he ad display karta hai. Infolinks me banner ad ke sath-sath text link aur tag link ad bhi show karta hai. Ye aapke article ke andar se keyword khoj kar use link ad me convert kar deta hai. Infolinks ko bahut tarah se customize bhi kar sakte hai.
0 Comments