Blogger Image ko SEO friendly kaise banaye Best tarika jane

Image ko SEO friendly banana bahut he aasan hai lekin pahle ye jaane ki SEO friendly image kya hota hai. Koi image ya photo jo ki Google, yahoo aur Bing jaise search engine me aasani se khoja ja sake use hum SEO friendly image kehte hai. 

For example - Agar hum Google image me "Happy New Year " wallpaper search karenge to mujhe Happy New year  ke images aur wallpaper mil jate hai.

Chaliye ab hum samajhte hai ki kaise image ko SEO friendly banaya jay. 


Jab bhi aap image ko blog me post kare usse pahle us image ko ek naam se save kare. For example agar aap koi flower ka image apne blog me dal rahe ha to image ka naam Flower.jpg ya Flower.png hona chahiye na ki simple naamphoto45.jpg ya image 122.png jaisa. Image ko post karne ke baad image ke neeche ek short description image ke baare me caption ko add kare. For example- hd image of red flower. 

Agar aap in do features ko image ko apne blog me post karte hai to aapka image SEO friendly ban jata hai, jise Google aasani se samajh kar use apne search result me show karta hai. 

SEO friendly image ke sath sath aapka blog bhi hamesha update hote rahna chahiye. Agar aap apne blog ko update nahe karenge to Google rank me niche hota chala jayega. Isliye jaruri hai ki aap apne blog me hamesah fresh post ko dalte rahe aur purane post ko bhi update karte rahe.

Google number one search engine company hai. Yaha par aapko hamesha latest aur best result milte hai, isliye agar app apna blog ko update nahe rakhenge to Google aapke search result ko pahle page par nahe display karega.

To dosto aapne shikha kaise ek image ko SEO friendly banate hai. Aap chahe to apne purane post kiye gaye image ko edit karke SEO friendly image me badal sakte hai. 

Post a Comment

0 Comments