Affiliate Marketing kya hai iski jankari har blogger ko honi chahiye. Affiliate Marketing se aap bahut saare paise kama sakte hai. Yah ek marketing ka ek hissa hai jo ki sirf online he hota hai.
Ek line me samje to affiliate marketing se internet par blog ya website ke jariye paisa kama sakte hai. Affiliate marketing ke jariye aap duniya me kisi bhi online companies ke Affiliate programs se jud kar ghar baithe paise kama sakte hai.
Affiliate Marketing Kya hai?
Affiliate marketing online marketing ka ek hissa hai. Online website jo koi products ya services ko behti hai,apni sell ko badane ke liye marketing ka sahara leti hai.Ye companies apne website ka prachar karne ke liye dusre ke blogs aur websties par apne website ka banner ya link ko add karne ke liye bloggers ko paise deti hai.
Affiliate Marketing me profit kaise hota hai?
Jab koi vyakti affiliate program ke banner, widgets ya link ko kisi blog ya website par dekhti hai aur us par click karke dusre website par ja kar koi service ya product karidti hai to company ko profit hoti hai. Is profit ka kuch hissa us blogger ko de jati hai jis ke blog ke dwara koi vayti uske website par gaya tha. Harek affiliate program ka commision alag-alag hota hai.Affiliate program kaise kaam karta hai?
Affiliate program me banner, widgets aur links ka use kiya jata. Koi bhi blogger inme se koi bhi chej ko apne blog par laga sakta hai. Jab koi vyakti is banner, widgets ya link par click karke dusri website par jayega aur koi product ya service lega tab aapko iska profit diya jayega. Link ke ye jaruri hai ki wo affiliate link ho.
Affiliate id aur Affiliate link kya hota hai?
Affiliate program me aapko ek affiliate id diya jata hai. Is affiliate id ko harek banner aur widgets me use kiya jata hai. Sath he link ke last me khas tarike se bhi add kiya jata hai. Ye affiliate program ke dashboard ke tool option me assani se kiya ja sakta hai. Jab normal links me affiliate id ko add kar diya jata hai to isse affiliate link kahte hai.
Affiliate program kya hai?
Affiliate program bloggers ke liye paisa kamane ka jariya hota aur Affiliate program dene wali company ka profit increase karne ka tarika hota . Blogger ke liye affiliate program ke liye registred karna hota hai. Iske liye aapke blog ka acchai aur popular hona bahut jaruri hota hai, tafi dusri website aapko affiliate program ki liye approve karti hai.
Aapke website ka traffic jitna jyada hoga affiliate program se paise kamane ka percentage utna jyada hoga. Hair website ka commission rate alag alag hota hai. Pure duniya me Amazon Affiliate program sabse jayada popular hai. Par mai aapko ye salah dunga ki aap India me affiliate program ke jariye paisa kamane chahte to Flipkart ka affiliate program join kare. Flipkart ka affiliate program Indian blogger ke liye best hai. Mai bhi Flipkart affiliate programs ko apne blogs aur websties par use karta hai.
Dosto affiliate programs se judi koi bhi jankari lene ke liye aap comment kare ya muje contact kare. App niche google, facebook ya discus kisi account see comment kar sakte hai.
0 Comments