Tile Mate ki madad se apne bhulne ki aadat ko control kare.

Aksar hum chije rakhkar bhul jate hai, lekin ab Tile Mate aapko bhule nahi dega. Bhulne ki ye bimari bujurg logo me aam baat hoti hai lekin  young log bhi kabhi-kabhi chije rakh kar bhul jate hai. Jaise ki chaabi rakhkar bhool jana, tv ka remote bhul jana. Car kaha park kiya hai wo bhul jana, etc.


Tile Mate le kar aaya ek aise technology jo aapko bhul gaye chijo ko khoj nikalne mein aapki madad karega. Agar aap koi saman bhul bhi jate to aap apne smartphone par aasani se track kar sakte hai. 


Tile Mate Ko kaise use kiya jata hai-


Tile Mate naam  ka chota sa chip hota hai jo ki kisi bhi chij me aasani se chipkaya ja sakta hai. Tile Mate ek chota sa mini chip hai jisko aap apne key-ring me ya apne remote par ya aise kisi bhi chij me aasani se chipka ya laga sakte hai jisko ki aap rakhkar bhul jate hai. 


Tile Mate kaise kaam karta hai-


Tile chip aapke smartphone mein ek Tile app se control hota hai. Maan lijiye ki aap apna chabi ghar me ya office me rakha kar kahi bhul gaye hai. To aapko jyada tension lene ki jarut nahi hai bas apne mobile me Tile aap par jaye aur apne chip ko locate kare. Jaise hi aap apne chip ko locate karegne to aapko ek khas sound chip se aane lagegi aur aapke phone par chip ka location bhi show karne lagega. Is parkar aap apne chaabhi ya anya kisi bhi saman ko aasani se track kar sakte hai.


Tile Mate ka ye video jarur dekhe 


Tile Chip Chori ho gaye bike ya car khojne mein bhi madad karta hai-


Tile chip ko agar apne bike ya car ke andar rakh diya ya chipka de to yah aapke bike ya car ko chori hone par iska location aapke smartphone par install aap par bata dega.

India me Tile Mate kaha milta hai


Tile Mate India me sirf online Amazon se aap order kar sakte hai. Ye 100% safe aur secure hai.


Post a Comment

0 Comments