Data posting jobs real or fake Read in Hindi

Personal data online par teji se share ho jata hai. Haal he mein maine job ki talash ke liye OLX, quikr jasie classified aur shine, naukari jaise job portal par apna naam aur phone number dala tha. Uske baad muje roj kisi na kisi company ki taraf se job offer aane lage kuch jenuine the aur adhikar fraud company ke call aane lage. Muje bahut saare logo ne phone kiya aur kaha Congrats aapki naukari Bank me lagi hai kisi ne kaha ki aapki naukari Back office me lage hai to kisi ne kaha aapko Manager bana diya hai. Ye saare fraud callers hote hai toh ji aapke personal data ko collect karna chahte hai ya aap se paise thagna chahte hai. Sabse pahle wo aapke qualification puchte aur kahte ki falana account me ya Paytm me itna paisa daal dijiye hum aapko ek reference number denge jis se aapka job pakka ho jayega.
 


Job milne ki fraud phone calls

Chuki inka target waise log hote hai jinko online fraud ke baare me jyada jankari nahi hoti aur hai aur asani se in ke jaal me fush kar apne paise gawa baithe hai. Aise he maine ek call ko Test karna chaha aur paya ki kis parkar se logo ko online thaga ja raha hai. mere pass ek call aaya aur kaha gaya ki aapki naukari Bank me lag gaye hai aur hum naukari.com se bol rahe hai aap 2500 rupay is paytm account me daal se aur interview ke liye ready rahe. Maine un se kaha ki mai jyada pada likha nahi hu garib hu aur majduri ka kaam karta hu. Maine unse kaha ki mai mai class 6 tak pada hu aur muje paytm wagerah chalana bhi nahi aata hai. Fir unhone kaha ki koi baat nahi aapki training hogi, Aap direct bank me bhi paise daal sakte hai aur ek bank account number aur email id send kar diye. Usne phone par kaha ki apne documents aur paise 24 ghante ke andar hume send kar de aur naukari le le. Jab maine unka emaid id ko dekha to wo naukari.com se nahi balki ek fake gmail id ka mail tha. Maine iski jankar ke liye naukari.com ko ek mail bheje jisme wo number aur email ka bhi jikra kiya. Naukari.com ki taraf se jo jawab aaya wo bahut hi chaukane wala tha. Unhone ne kaha ki naukari.com kis bhi parkar ki job ke liye paise nahe leti hai aur na hi kisi ko job ke liye personal call karti hai. Ye call bhi unki taraf se nahi kiya gaya hai. Naukari.com ne yaha salah di ki is parkar ke fake call se bache kuki ye fraud hote hai. Niche mai naukari.com se mile jawab ka screen-shot daala hai. 


Aapka Data teji internet par share ho jata hai

Ek aur dilchasp online data chori ka ghatna haal me mere sath hua. Mai kai dino se online trading ke baar me internet par search kar raha tha. Tabhi  mujhe ek online trading ke website acchi lagi aur jankari ke liye maine apna naam, email id aur phone number daal diya. Agle he din se muje bahut saare online trading aur online business se jude phone calls aane shuru ho gaye. Caller bade hi confidence ke sath call kar rahe the Sir aapne hamari website par jankari ke liye call kiye hum aapko puri jankari dete hai. Agar aap 14 dino ke ander apna account kholte hai to aapko ek paisa bhi nahi lagega wagerah-wagerah. Is experience se maine jaana ki online data share karne se wo pure network me fail jata hai. Sirf ek phone number se markertor ko pata chal jata hai ki aap kya karne wale hai. Online companies ya to apne customer ka data share karti hai ya hack karke dusre companies ka personal data nikal kar aap se contact karte hai. 




Online Fraud se bachne ke tips


Internet par apna data ko share karte samay is baat ki jankari rakhni chahiye ki kabhi bhi apna original detail kisi website par share nahi karna chahiye. Aajkarl bahut saare logo ka mobile number aadhar card ke sath jud gaya hai jo aapke Bank account se bhi juda hota hai. Hume internet par ye number kisi bhi website par share nahi karna chahiye. Aapke ek  mobile number se aapke bank aur aapka personal data jaise naam pata age sab kuch online hack kar liya jata hai. Kai baar aapki pehchan ko hi hack kar liya jata hai. Isliye online fraud se bachne ke liye aap ek alag phone number istemal kar sakte hai jo ki aapke adhar card se nahi juda ho. Jab kabhi bhi aapke mobile number ya watsapp ya email ke inbox me aisa koi message aaye jis me aapko inaam ke taur par lakho rupee dene ka dawa kiya gaya ho, tab aapko samajh jana chahiye ki wo ek fraud message hai, Behtar hoga ki aap is tarah ke message se dur rahe aur use delete aur block kar de. Kisi bhi anjaan phone caller ko kabhi bhi apna Bank account number, atm pin code,  PAN card number, aadhar card number na bataye. Agar aap internet ki security ke baar me jayada nahi jante hai to kisi acche jhankar se pahle is baat ki jankari le le aur fir koi online kaam kare. 

Post a Comment

0 Comments