Dosto mai hindi aur english do blog ko chalata raha hu. Dono par Adsense use karta hu. Mai jyada post hindi ke blog par likhe hai aur uski traffic bhi english ke blog se jyada hai. Dono ka subject same hai.
Aaj jab maine Adsense account me earing compare kiya to pata chal ki English ke blog ki earing jyada ho rahi hai jabki is par Hindi ke mukable 75% kam post aur traffce hai. Agar hindi par har mahine 1000 traffic aa rahe hai to english blog par sirf 250 traffic he hai. Lekin earing ke mukable english ke blog par Hindi ke mukable 75% jyada profit hai.
Google Adsense English blogger ko jyada profit de rahe hai. Isliye mujhe lagata hai ki hume english me he Blogging karna chahiye. My english is too bad. Mujhe pata hai par har blogger ka ultimate goal Adsense se paise earn ka hi hai. Halaki english me likhne se wo feelings nahi ho pati hai jo ki Hindi me likhne me aata hai. Hindi hamari matrabhasha hai isliye hume Hindi ko bhi piche nahi chodna chahiye. Bahut saare Hindi bloggers bhi lakho me earning kar rahe hai.
Hindi ya English Adsense ke earning report to yahi kah rahi hai ki muje English me Blog ko conitune karna chahiye. Agar aapki english suru me kamjor bhi hai to blogging karne ka ek aur fayda aapko ho jayega Aapki English kafi sudhar jayegi aur sach puchiye to aap apne ander ek confidence feel karenge. Agar koi insaan do language janata hai to uska dimag bhi ek language janane wale se jayad chalta hai, Ye baat science bhi proof kar chuki hai.
Ek aur baat bahut saare blogger ye salah dete hai ki hume blogger/blogspot ko chod kar Wordpress par chale jana chahiye. Mai is baat se sahmat nahi hu kyunki duniya me bahut saare top blogger aise bhi hai jo ki apna blog blogspot par hi run karte hai. Inmse se kuch blogspot.com ka istemal kar rahe hai yani ki wo Blog hosting ke liye ek paisa bhi kharch nahi kar rahe hai. Blogspot par blog likhne SEO ka bhi fayda hai.
0 Comments