How to increase website traffic 10000% working Tips in Hindi

Kya apne website ke low traffic se pareshan rahte hai aur din yahi socha karte hai ki mere blog ka traffic kasie increase hoga. To jaahir si baat hai aapne internet par How to increase website traffic jarur search kiya hoga. To chaliye dosto aaj aapko hum kuch aise tips ke baare me jankari dete hai jo aapke website ki traffic increase (bada ne) me madad karega.

Website par aane wale visitor ke number ko blog ka traffic ke naam se jana jata hai. Jis blog par jyada visitor aate hai us website ka traffic high hota hai aur jis blog ya website par kam visitor aate hai us website ka traffic  kam hota hai.



How to increase website traffic 10000% working Tips in Hindi

Update- Jo blog updated rahta hai wo Google ke search result mein sabse uper aata hai aur us blog ka traffic jyada hota hai. Isliye ye dhayan me rakhe ki aapka blog hamesha updated rahe. Blog par ek baar likh kar chor dene se wo purana hota chala jata hai. Aap apne purane blogs ko pade aur dekhe ki usme kya update ki jarurat hai. Man lijiye ki aap "top 10 jaise title wale post" apne blog par likhe ho aur wo 4-5 mahine pahle likhe ho aur current me top 10 list me koi dusra ho to aapka wo post Google ke search list uper show nahi karega. Aur agar aapka blog search rank me accha nahi rahta hai to zahir si baat hai ki aapke blog par search karke visit karna kitna mushkil hoga.

SEO- Apke blog ya website ka SEO friendly hona bahut jyada jaruri hai. Agar aapko SEO ki jankari nahi toh ise jarur sheeke. SEO ka pura naam hota hai Search Engine Optimization. Yanni google me search karke aapke blog ya website par visit karna. SEO website ya blog par likhne ka ek khas tarika hota hai jo aapke blog ko Google me search karne me madad karta hai. 

Inner Text links- Blog likhte samay text me apne dusre post ka bhi link add kare jaisa ki maine is post me kiya hai. Is se aapke blog ka page view 50% tak guaranteed badega. Apne post ko likhne ke baad ek reader ke taur par apne post ko pade aur kisi line me extra jankari ki jarurat hoti hai to use text link me add kar de.


Social Media- Aap apne blog ko jayada se jayada baar Facebook, twitter, Google plus jaise social medias par share jarur kare taki blog ka traffic bana rahe. Akele Facebook ke jariye bahut saare startups aur ecommerce companies profit kama rahi hai. Ye jaruri nahi ki aap sirf apne naye blog ka hi promotion social medias par kare. Aapke blog ka purana post bhi utna hi important hai jitna ki aapka naya post hai. Agar aap baar-baar Facebook, twitter me update karne me man nahi lagta hai to aap Hootsuite jaise social sharing tool ka istemal kar sakte hai. 


Google Webmaster- Google webmaster par daily visit kare aur pata lagaye ki kaun sa post ya page accha performance kar raha hai aur kaun sa nahi. Google webmaster se aapko sahi keywords ka pata lag payega. Agar aap ab tak google ke webmaster tool ka use nahi kare rahe hai to aaj se hi suru kar de. Yeh Tool google ki taraf se bilkul free. Google webmaster me sabse pahle aapke website ka xml file submit kiya jata hai. Jo ki bahut aasan hai. 

Guest post- Aap apne dusre competitor blog ke sath friendly nature banaye rakhe. Aur unke blog par guest post ko likhe. Guest post me aap dusre ke blog par article likhte hai aur us article me apne  blog ka link add karte hai. Is tarah se agar aap 20-25 guest post alag-alag blog par likh denge to us blog see traffic increase hona shuru ho jayega.

Blog comment- Jab bhi aap kisi dusre blog par visit kare to is baat ka jarur dhayan rakhe ki us blog par comment dena jaruri hota hai. Comment me kabhi bhi bhul kar aisa na likhe jo ki blogger ko paresan kare aur aapke comment ko spam kar de. 

Advertisement- Agar aapke blog se income honi shuru ho gaye hai to aap Facebook, Google Adsense par apne blog ka advertisement paise dekhar suru kar sakte hai. Jitna blog ko likhna jaruri hota hai usse jyada blog ka marketing karna jaruri hota hai. Isliye marketing par paise kharch karna ek accha investment hai. 

To dosto agar aap uper diye gaye tip ko dhyan me rakh kar apne blog ka marketing karege to aapke blog ke traffic me 10000% ka increasement hoga.

Post a Comment

1 Comments