Blogger apna motivation ko kaise banaye rakhe

Blogger ko hamesa motivated rahna chahiye. Safalta ek din me nahi milti hai iske liye kadi mehnat aur junoon ki jarurat padti hai. Kai blogger ko safalta suruaat me hi mil jati hai to kuch blogger ko salo lag jate hai par safalta jaroor milti hai. Kisi ne teek he kaha hai ki aapko safalta tabhi milti hai jab aap sare asfalto ko paar kar lete hai. Agar aap asafal ho rahe hai toh iska matlab hai ki aap kaam kar rahe hai Aap ruke nahi hai.



Comments- Blogger ki safalta tabhi tay honi shuru ho jati hai jab unke blog par comments aane shuru ho jate hai. Agar apake blog par comments aa rahe hai to samaj jaiye ki aapka blog popular hone laga hai. Ha agar aapke blog par ek bhi comments nahi hai toghabrayee nahi kuki jaruri nahi hai koi aapke blog par comment kare. Aap itni achhi jankari apne blog par likhe ki logo aapke blog par jarur visit kare.

SEO-Blog ko seo friendly na hona bhi ek karan ho sakta hai. Isliye apne blog ko seo friendly jarur banaye. Jab log search karke aapke blog par visit karne lage to aapka blog popular hone lagega. Agar aapko SEO ki jankari nahi hai to apne blog par likhna band kare aur sabse pahle SEO ko samjhe ye bahut he aasan hai.

Backlinks- Backlinks ka matlab hota hai ki apne blog ka link kisi dusre blog par dalna. Backlinks ka sabse simple upay hai ki jab bhi aap kisi dusre blog par visit kare to us par comment jarur kare aur sath hi apne blog ka link bhi add kare. Is se kya hoga ki jab bhi koi vyakti aapke comments ko padega aur use accha laga to aapke baare me janne ke liye aapke name par click karega aur aapke blog par visit karega. Dusara tarika hota hai Guest posting ke jariye apne blog ka backlink taiyar karna. Guest post ka matlab hai ki aap kisi dusre popular blog par koi 1-2 post likhe aur usme apne blog ka link add kare. Jab log us guest post ko padenge to usme diye backlinks se aapke blog par visit kar sakega.

Facebook Groups- Facebook par bahut saare groups hote hai, aap apne blog ke subjects ke anusar group me add ho jaiye aur apne blog ka post ko regular basis par post karte rahe. Is se aapko ek fayda hoga ki aap un logo ki nazron me aa jayenge jo aapke blog se related interest rakhta ho. Is tarah aap apne blog ko sahi jagaha par marketing kar sakte hai.

Dosto agar aap in 4 batoo ko dhyan me rakhte hai to blogging me aapko safalta milegi aur aap hamesha apne aap ko motivated mehsoos karenge. Dosto zindagi me kitni bhi bhure daur se kyu na gujarna pade par logo ko apna himmat nahi harna chahiye. Apne aap ko ander se majboot kare aur har din apne aap se kahe ki mai ye kar sakta hu kuki mere ander wo saare power hai jo ki ek safal vyakti ke ander hona chahiye.

Post a Comment

0 Comments