What is Adnow Read in Hindi and start earning money.

Aaj hum aapko batate hai ki Adnow kya hai aur duniya bhar ke blogger kis prakr is se paisa kama rahe hai. Dosto agar aap apna blog chala rahe to aapko Adnow jaise top native ad network ko apne blog par jarur use karna chahiye. Is se aapke blog se acchi income honi shuru ho jayegi.

Adnow Kya hai


Adnow ek digital marketing company hai hai. Yah 2014 me suru ki gaye hai. Duniya ke 107 deso me Adnow ke 150000 se bhi jyada partners hai. Adnow website our blogger ko Advertisement ke jariye paisa kamane ka sunhara mauka deti hai. 




Hume kyu Adnow se judna chahiye


Adnow Hindi bloggers ke liye khaas hai kuki ye Hindi jaise regional language me bhi Ad provide karti hai. Agar aap hindi ya kisi anya regional language me blogging karte hai to aapko Adnow ke native ad ko jarur se apne blog par istemal karna chahiye.


Native Ad kya hota hai


Native Ad English ke "native" aur "Ad" se milkar bana hua hai. Yaha Native ka matlab hota hai "milta julata" aur Ad se "advertisment" ka hai. Yani ki milta julta ad. 

Top Native Ad companies

Duniya me bahut saare top native ad company hai Jinme se Outbrain, Revcontent, taboola, Gravity jaise company top par hai. In top native ad companies  ke ad top media groups (Aajtak, Zee News,TOI etc) ke website istemal karti hai. Agar aap in top native ad ke liye apply karenge to aapko approval nahi milega kyonki iske liye aapke blog ka kafi popular hona jaruri hota hai.


Kya mai Adnow ke liye aap apply kar sakta hu


Ha aap native ad liye apply kar sakte hai. Adnow aapke blog ki popularity check nahi karta hai bas aapke blog par kam se kam 10-15 post likhe hone chahiye. Adnow par sign up karne ke baad Adnow ke dashboard par se ek Adversitmet ka html widgets code ko apne blog par add karna hoga, Iske baad Adnow check karega ki aapne code ko add kiya hai ya nahi. Yahi code aapke blog par native ad dena shuru karta hai. Iske baad 24-48 hr me Adnow aapke blog ko 100% confirmation approve kar deta hai aur aapke blog par native ad aane shuru ho jate hai.


Adnow ke liye kaise Sign up karne ka process


1.Adnow par visit kare
2.Uske baad sign up click kare
3.Registration page par publisher ko select rahne de
4.Form me apna naam email id, language me Hindi select kare, password chune aur skype ko chor de
5. I accept term.... accept kare
6. I'm not robot par tick kare
7. aur last me "submit" button par click kare
8. Iske baad apne email ke inbox me jakar Adnow ko apne emid id verify kare.


Adnow account banane ke baad Adnow par apna blog ko kaise add kare


Adnow par account banane ke baad pahle kaam hota hai Adnow me apna apna blog ko add karna. Jaise hai aap Adnow par login karenge to aapko pahle page par Add site aayega. 

1. Add site par click kare
2. next page par ek form ayega usme apne blog ka naam likhe, blog ka address likhe, website language me hindi select kare, website traffic select kare. 
3. last me "add" par click kare
4. Uske baad laal color me ek pop window open hoga, yaha niche me "agree with the......" me tick kare 
5. Ok par click kare
6. Adnow par ye process ke baad apka blog add ho jayega. Uske baad aapko apne blog par ad dalne ke liye widgets ki jarut hogi. 


Adnow par apne blog ka  widgets kaise banaye


Adnow par apne blog ko add karne ke baad aapko widget banana hota hai. Widgets ek html code hota hai jisko aap apne blog par add karne ke baad se Adnow ka native add aapke blog par aana shuru hoga. Blog add karne ke baad he aapko "Add a widgets" ka option right side me show karga. 

1. Add a widgets par click kare
2. Add ko apne blog ke hisab se select karte jaye
3. Save kare
4. Get html code par click kare
5. Yaha par pop window me do htmt code dikhaye dega aap dono code ko copy karke apne blog par paste kare. 


Adnow se payment kaise hota hai


Adnow par payment paypal ke jariye hota hai. Chuki yeh ek international ad company hai isliye ye Paytm ke jaisi hai Paypal online money transaction system ko use karti hai. Adnow ke account me jakar payment option me apna paypal email id daal de. Paypal se aap kisi apne money transfer apne Bank account me aasani se kar lenge. Suruat me aapko Payment option add karne ki jarut nahi hai. Jab aapki earing suru ho jati hai tab aap apna paypal id is me add kar de. Agar aapka paypal id nahi hai to aap use aasaani se bana sakte hai. 

Post a Comment

0 Comments