Meteor Royal Enfield New Bike Hindi Review

Royal Enfield Meteor 350 launch ho chuki hai India me. Royal Enfield Meteor 350 ke review hindi me padhne ke liye is blog ko aage dekhe. Royal Enfield Meteor 350 bike Royal Enfield bikes ki latest bike ki model ka naam hai. Halanki Meteor 350 ka look Royal Enfield ke Thunderbird se kafi milta julta hai. 



Royal Enfield Meteor 350 ka price

Meteor 350 ka ex showroom price Chennai me 1.75 lacs hai. Halaki iske alag alag colour ke alag price hai. Super Nova Blue color wale Meteor 350 ki price 1.90 lacs hai.

Meteor 350 engine review

Engine me kuch khas badal nahi hai. Iske bhi same engine milega jo ki Royal Enfield ke sare 350 cc bikes me dekhne me multi hai.

Meteor 350 me naya kya hai.

Royal Enfield ke bikes me pahle baar inbuilt navigation system mil raha hai, jise aap apne smartphone ke google map ko bloothtooth ke jariye connect kar sakte hai. Iska matlab ab bikers ko extra smartphones ko ab bike ke handle par lagane ki jarurat nahi.



Meteor 350 petrol tanki 15 liter ka diya

Meteor 350 ka look review

Royal Enfield ki ye latest bike Meteor 350 ka naam thoda cool hai, look ki baat kare to side se ye bike bahut he khoobsurat lagti hai. Company ke official website par jakar apko iski 360 degree view mil jayegi.




Pro and Cons of Meteor 350

Pro - Acchi baat ye hai ki Meteor 350 me navigation system laga hua hai, ye apko long drive me address khojne me kafi madad karega.

Iska new look kafi attractive hai, seat bhi badi aur low hai jo ki long drive me kafi comfortable rahti hai.

Cons- Filhal iske cons ke baare me baat nahi karte hai kyuki Royal Enfield ke lovers ke iska naam he kafi hai.

Royal Enfield Meteor 350 ko book kaise kare

Meteor 350 ko book karna bahut he aasaan hai, aap Royal Enfield ke official website pat ja kar aap test drive ke liye form bhar sakte ho aur book bhi kar sakte ho.

Post a Comment

0 Comments