SEO kyun jaruri hai profitable blog k liye.

India me internet ka matlab he hota Google. Kuch bhi janna hai log Google par khoj lete hain. Internet par Google jaise search engine ke jariye information ko khojne ki prakriya ko SEO ka naam diya gaya hai. SEO ka pura naam hai Search Engine Optimization yani ke internet par kisi bhi jankari ko khojne ke liye Google, Bing etc jaise search engine ka use karna.



SEO blog ko profitable banana ha. Iske lye jaruri hai ki apka  blog SEO friendly ho taki internet par log Google jaise search engine par aasani se aapke blog khoj sake aur pad sake. Ager aapka blog SEO ke mutabik nahe hoga to koi bhi search engine yani ki Google aapke blog ko internet par nahe khoj payega. Ager Google he aapke blog ko nahe khoj payega to dusre log aapke blog ke bare me kaise jayenge ?Aap kitne bhi accha  likhte ho agar apne SEO friendly blog nahe likhi ho to koi fayda nahi hoga.

Jis website SEO accha hoga wo website Google ke search me sabse uper aata ha. Ager aapka SEO kharab ha to Google search engine ke kis page par aayega ye batana muskil ho jata ha. 


Aksar log Google ke first page jo search result aata ha use par click karke koi bhi website ya blog par visit karte ha. Aapne ye bhi dekha hoga ki Kabhi Kabhi Google me search ke baad jo results aata ha usme kuch "ssponsored" karke likha hota ha. Ye Google ki taraf se Advertisement hota. Koi bhi website ya blog iske liye Google se contact karti ha iske baad Google search result me Ad deti ha. Iske liye Google Kafi paise charge karti ha. 

Apne ye baat bhi gaur kiya hoga ki ye sponsored Adversitment Google ke front page he show karta ha. Ager aap 2-3 page aage ka search result dekhte ha to waha par ye ad show nahe karta ha. Iska main karan ye ha ki searh karne wale maxmim log Google ke front page par jo result aata ha bas use ka use karte ha. Ager Google waha par Ad degi to Google ko koi khas fayada nahe hoga. 

Islye dosto blog likhte samay is baat ka khayal rakha jaya ki aap jo kuch bhi likh rahe ha wo SEO friendly hona chaiye. SEO se apka website ka traffic bhi badega. Apke blog par jyada se jyada log pad sakenge. 

Post a Comment

0 Comments