Aapne aksar newspaper, magazine ya news channels me professional bloggers ke baare me suna hoga ki kis prakar blogging ke jariye lakho rupee earn karte hai. Kabhi-Kabhi aapke mann bhi khayal aaya hoga ki kash mai professional blogger hota aur lakho rupee kamata. Fir aap sochte hoge ki mera english ko theek hai he nahi. Mais kaise likh sakta hu. To ab aapko sochne ki jarurat nahe app Hindi me bhi blogging kar sakte ha. India me bahut saare blogger hindi aur hinglish me likhna suru kar chuke har lakho rupee kama kar professional blogger bante ja rahe ha.
Professional Bloggers ka main income source Google ka Adsense programs hota ha. Google Adsense Google ka advertisement program hota ha. Jisme google bloggers ke website par advertise karti ha aur isse hone wali income ko bloggers ko deti hai. Sabse jaruri baat ki Google ne officially announce kiya hai ki wo Hindi blogger ko bhi Adsense programs approve karegi. Yani hindi blogs par bhi aapko google ke Ads dekhne ko mil jayenge.
Hindustan, Dainik jagran se popular newspaper ka website hindi me hota ha. Jab itne bade companies hindi me likh kar internet se paise kama sakte hai to aap kyu nahe. Apko jis bhi topic ki jankari aati aap likh sakte hai pane blog bana sakte hai aur paise kama sakte hai.
Ager aap phir bhi koi risk nahe lena chate ha aur ek paise bhi blogging me nahe lagana chahte hai to bhi Google aapko blogging ke jariye paisa kamane ka tarika deti hai. Google ka blogspot ek free blogging platform ha jaha par English Hindi ya koi bhi language me blogging suru karke pais kama sakte hai. Jise baad me agar chahe to upgrade karke professional blog me convert kar sakte ha.
To dosto aap Hindi me bina dare blogging kar sakte hai aur professional blogger ban kar paise bhi kama sakte hai. Koi bhi question ho aap niche comment kar sakte ha.
0 Comments