Flipkart Affiliate Program se paise kaise kamaye Hindi me jane

Aaj hum janenge Flipkart affiliate program se paise kaise kamaye. Flipkart India ki best shopping website ha, ye to hum sabhi jante hai par kya aap jante hai Flipkart se paise kaise kamaye.Agar aap affiliate program ke baare me nahi jante to pahle ye pade.



Jab bhi blogger paisa kamane ke baare me sochte hai to sabse pahle Google Adsense ka hi naam yaad aata hai. Lekin blogger aur website owner Adsense ke alawa Flipkart ke affiliate program se bhi paisa kama sakte hai.




1. Flipkart ke affiliate program se aap do tarike se paisa kama sakte hai.Pehle aap Flipkart ke banner ko apne website par add kar de. Jab koi vyakti Flipkart ke is banner par click karke Flipkart par shopping karega tab Flipkart aapko kuch commission degi.

2. Dusra tarika ha ki aap Flipkart ki koi products ko apne blog par, uske baare me likh kar. Yaha par aapko Flipkart ke us product ka link bhi blog article me add karna jaruri hoga. Jab koi vyakti aapke blog ko pad kar aapke links se Flipkart ke website par jakar us products ko kharidega tab Flipkart aapko commision degi.


Interesting baat ye hai ki Agar aap koi product "A" ka promotion kar rahe hai aur shopper Flipkart jakar product "B"  "C" ya koi bhi product kharid leta hai to Flipkart aapko harek sale par commision deti hai.

Dhyan dene ki baat ye hai ki jab aap Flipkart ka apne blog par dalte hai to usme aapka Flipkart affiliate id add hona chahiye. Agar aap simple Flipkart ka link apne blog par dal dete hai to, Flipkart ise track nahe kar payega aur agar koi aapke blog ke Flipkart link se shopping bhi karta hai to aapko Flipkart commission nahe degi. Isliye is baat par jayada dhyan de ki Flipkart ke link ko apne blog post me add karte samay yeh nisichit kar le ki wo aapka Flipkart affiliate link he ha.


My Flipkart affiliate program last month income proof



Flipkart ka affiliate commision harek product category ka alag-alag hai aur Flipkart apne kuch products par commission bhi nahi deti hai. Iski jankari Flipkart ke affiliate account me aasani se mil jayegi. Flipkart ka commision rate har month change hote rahta ha.

To dosto agar aapka adsense program approve nahe ho raha hai to koi baat nahi aap Flipkart ke affiliate programs se bhi paisa earn kar sakte ha. Aage aap Flipkart ke affiliate program ke liye kaise sign up kare iski bhi jankari is blog par uplabdh ha. Kripya search kare ya mere blog ko browse kare.



Post a Comment

0 Comments