How to make a website (Read in Hindi)

Website making bahut he aasan hai. Aur aaj ke date me bahut he kam paise me ek website banaya jata ha. Pahle baat jaan lijiye ki website ke liye aapko har mahine paise dene padte ha. Ye kam se kam 60-70 rupee mahine me internet par apka website LIVE ho jata ha. 

Dusri baat aake website ka jo naam hota hai uske liye bhi aapko paise dene padte ha. Website ka naam ko kharidna padta hai. Ye kam se kam 6 mahine se ek saal ke liye hota ya fir aap ese pure life-time ke liye bhi apne naam par register kar sakte ha. Website ko aap khud bana sakte hai ya kisi website designer se banwa sakte ha. Is article ko padne ke baad aap aaram se apna website bana sakte ha.

Website banana ke liye aapko 3  chejo ki jarurat padegi.



1.       Website ka naam (Domain name)- Sabse pahle aapko apne website ka naam register karna hota ha. Naam ko register karne ke aapko website ka naam register karne wale website par jakar, apne website ka naam register karna padega. Website registration 100 rupyee se suru hota ha. GoDaddy, BigRock ye sabhi website ha jo naye website ke naam ko register karti ha. Aap apne website ka naam ka registration 1 saal se lekar life-time k liye kar sakte ha. Ab aap samaj he gaye hoge ki website ka naam kaisa hota ha. www.apka-website-ka-naam.com Aapne dekha hoga ki website ke naam ke last me “.com”  “.in”  “.co.in” laga huha ha, isko extension bolte ha. Website ke naam ko English me “domain name” kahte ha. Website ka registration complete hone par aapko aapke website ke naam se us domain name registration company ke website par aapka ek account ban jayega jisme aapke website ka detail rahega.

Website hosting- website registration complete karne ke baad aapko ek website hosting company ki jarurat padegi. Website hosting wo company hote hai jo aapke website ko internet par LIVE karta. General tarike se samjhe to hosting company aapke website ka ghar hota ha. Aapka websitehosting company ke database me rahta. Hosting company isko internet se jod deti ha aur ye internet par live ho jata ha. Apka website hosting company ke paas rahta hai par aap use apne computer se control kar sakte ha. Ager aapko hosting company pasand nahi aata ho to aap aise badal bhi sakte ha. Website hosting me aapko har mahine yeh saal me ek baar advance me paise dene hote ha. Ye 1000 rupee se suru hota.

3.       Website design- Website registration our website hosting lene ke baad apko apna website banana padta ha. Ye kaam aap bahut he aasan se kar sakte ha. “Wordpress” ek aisa platform ha jis par Internet ke75% website bane huye ha. Sabse pahle aap website hosting ke control panel par jakar wordpress ko apne domain name me install karna hoga. Ye bahut he aasan process ha  . Wordpress install karne ke baad aapka website ban kar taiyar ho jata ha. Ab aap wordpress me login karke usme apna information update kar sakte ha. Wordpress me by default 3 theme hote ha. Aap iske alwa alag se bahut saare free theme select kar sakte ha. Theme select karne ke baad aap apna website banana suru kar sakte ha. 

Post a Comment

0 Comments