Free me Website banane ka tarika hindi me aur free me Google se paise kaise kamaye

Website banane ka tarika hindi me pade aur jaane Google se paise kaise kamaye jate hai wo bhi free mein. Agar aap net se paisa kamana chahte hai to ye post ko jarur pade. Iske baad aap khud ka rojgar suru kar sakte hai.

Internet par karoro website aur blogs hai. Blogs us websites ko kahte hai jaha par aapko articles padne ko milte hai. Aap jis post ko pad rahe hai wo bhi blog ke ander he aata hai. Blog internet par wo jagah hota hai jaha par koi vyakti kisi khas subject par apni ray likhta hai ya fir kisi khas subject ke bare me detail se likhta hai. 



Ab aap soch rahe honge ki blog likhne se kya fayda !! paisa kaha se aayega ? To dosto darne ki koi baat nahi hai. Mai aapko ek aise jagha ke baare me batata hu jaha par aap free me blogging suru kar sakte hai. Blog ko internet par likhne ko blogging kahte hai aur jo vyakti blog ko chalta aur likhta hai use hum blogger ke naam se jante hai.

Free me Blogging internet par kaha se shuru kare?


Internet par Blogger.com ek aisa jagah hai jaha par aap free me blogging suru kar sakte hai. Blogger.com Google ki bahut he popular website hai jaha par duniya bhar ke log free me blogging karke online paise kama rahe hai. Blogger.com ko Blogspot ke naam se bhi jana jata hai. Blogspot par account banane ke liye aapke pass gmail ka account hona chahiye. Agar aapke paas gamil ka account nahi hai to aap ise free me bhi bana sakte hai. 

Blogging se paise kaise kamaye jata hai ?


Blog likhne ke baad aap us par advertisement ko dal kar paise kama sakte hai. Jaise ki aap TV dekhte hai aur TV par Advertisement bhi aate hai. Aap apne blog par kisi company ka ad laga kar paise kama sakte hai. Iske liye Google Adsense sabse badiya platform hai. Is par account bana na bhi free hai. Jab aapka blog popular ho jaye tab aap Google ke Adsense ke liye apply kar de, Google aapke blog ko check karega aur uske baad aapke blog par ad aana shuru ho jayega. 


Also Read : Google Adsense ke liye kab apply kare taki approval aasani se mile

Google Adsense se paise kaise milega ?

Jab aap Google adsense ke jariye paise kamane lagenge to Google aapko kamai ke hisab se paise dene suru kar degi. Google aapko direct aapke Bank account me ya fir check ke jariye payment karti hai. Account me paise lene ke liye PAN card jaruri hai. Agar aapke paas apna bank account aur PAN card nahi hai to dosto aap ise bana le.

Kul mila kar ye ek line me is baar ko samajhiye ki aap Google ke blogspot par jakar free me blogging shuru karna hai aur Google ke he Adsense program ke jariye paisa kamana hai. Ye dono chije aapko ek he jagah par milenge wo hai Blogger.com. 

Dosto maine ye saari baat short me isliye likhi hai taki aap ye jan sake ki blogging aur paise kaise kamaye jate hai. Agar aap ye kaam shuru karna chahte hai to aage aap mere blog par iske baare me detail me pad sakenge.

Post a Comment

0 Comments