Wordpress website ke theme aur plugins ko kaise Check kare?

Wordpress website ke theme ko detect karna bahut hi aasan hai. Agar aapne blogging suru kar de ha to aap dusre ke blog bhi visit karte honge. Agar us website ka theme pasand aa jaye to uske baare me pata lagana suru kar dete ha.

Chaliye aapko hum ek aise hi online tool ke baare me bata dete hain jo internet par kisi bhi WordPress website ka theme aur plugins check karke bata deta hai wo bhi free me.


Wpthemedetector naam ka yah website Wordpress ke kisi bhi website ko scan karke us website ka detail nikal deta hai. Is tool ke dwara aap Wordpress website ke theme ka naam aur us website par use Wordpress plugins ki jankari free me le sakte ha. 

Chaliye ab hum aapko bata de kis prakar aap Wpthemedetector ke jariye kisi bhi website ka theme aur plugins ko free me kasie check kare-

1. Visit Kare wpthemedetector.com
2. Visit kare wo website jiska aap theme check karna chahte ha
3. Is website ka url address copy kare aur wpthemedetector me paste karke enter kare
4. Result me aapko wordpress website ka theme aur plugins pata chal jayega. Dhyan rahe ye sirf Wordpress ke website ko he detect karta ha. 

To dosto agli baar jab kisi blog ka theme pasand aa jaye to is online tool ka free me istemal karke us website ke theme ka pata aasani se nikal sakte ha. 

Post a Comment

0 Comments